chāhat kī lau ko maddham kar detā hai
Dar jaatā hai milnā kam kar detā hai
jaldī achchhe ho jaane kā jazba bhī
zaḳhmoñ ko vaqf-e-marham kar detā hai
maut to phir bhī apne vaqt pe aatī hai
maut kā aadhā kaam to ġham kar detā hai
sau ġhazleñ hotī haiñ aur mar jaatī haiñ
ik misra.a tārīḳh raqam kar detā hai
dil meñ aise dukh ne Derā Daalā hai
aisā dukh jo āñkheñ nam kar detā hai
sabr kā dāman hāthoñ se mat jaane do
sabr diloñ kī vahshat kam kar detā hai