hālāt mire dil ko lagāne nahīñ dete
āñkhoñ meñ tire ḳhvāb sajāne nahīñ dete
zulmat ke pujārī to bahut tañg-nazar haiñ
jashn-e-shab-e-tārīk manāne nahīñ dete
āñkhoñ pe to bilkul hī koī bas nahīñ chaltā
ham ḳhud ko tirī bazm meñ jaane nahīñ dete
jannat kī duā.eñ mujhe dete haiñ sabhī log
is ahd meñ jiine ke bahāne nahīñ dete
nafrat kī rivāyāt ke pāband haiñ lahje
rūThe hue logoñ ko manāne nahīñ dete
kuchh ḳhvāb mirī zaat se baḌh kar bhī to haiñ jo
phir dil ko tirī aas lagāne nahīñ dete
sūkhe hue phuul aur tire lams kī ḳhushbū
sadma tire jaane kā bhulāne nahīñ dete
goyā.ī hai pāband-e-salāsil ki 'amīr' ab
sahrā meñ bhī āvāz lagāne nahīñ dete