tum shujā.at ke kahāñ qisse sunāne lag ga.e
jītne aa.e the jo duniyā Thikāne lag ga.e
uḌ rahī hai shahr ke saare galī kūchoñ meñ ḳhaak
jitne āshiq the vo sab khāne-kamāne lag ga.e
reñgtī kāreñ ubaltī bhiiḌ be-bas rāste
kal mujhe ghar tak pahuñchne meñ zamāne lag ga.e
us ne ham par ik mohabbat kī nazar kyā Daal dī
haath jaise ham ġharīboñ ke ḳhazāne lag ga.e
umr bhar karte rahe ham ek kūche kā tavāf
ek saa.e ke ta.āqub meñ zamāne lag ga.e
zindagī dene lagī parhez-gārī kā sabaq
ab to ham jaise bhī sabzī daal khāne lag ga.e