Shakeel Jamali

wo log aaen jinhen hausla ziyaada hai

Shakeel Jamali

Chandpur, Uttar pradesh, India

1958
vo log aa.eñ jinheñ hausla ziyāda hai
ġhazal meñ ḳhuun kā masraf zarā ziyāda hai
sab apne aap ko dohrā rahe haiñ rah rah kar
vo is liye ki paḌhā kam likhā ziyāda hai
ye sach hai koī farishta nahīñ mire andar
magar ḳhatā kī ba-nisbat sazā ziyāda hai
mirā ḳhumār utar jaa.e to ye faisla ho
tirī sharāb meñ kyā kam hai kyā ziyāda hai
ġhazal usī pe dar-e-iltifāt kholtī hai
jise lihāz rivāyāt kā ziyāda hai
Top Urdushayar.com