Shakeel Jamali

kitne aKHbar-faroshon ko sahafi likkha

Shakeel Jamali

Chandpur, Uttar pradesh, India

1958
kitne aḳhbār-faroshoñ ko sahāfī likkhā
nā-mukammal ko bhī ḳhādim ne izāfī likkhā
tū ne bhūle se na samjhī mire jazbe kī kasak
maiñ ne barsoñ tirī āñkhoñ ko ġhilāfī likkhā
haath uThā sakte the mere bhī baġhāvat kā alam
maiñ ne har zulm ke ḳhāne maiñ muāfī likkhā
ishq kī ḳhair ho allāh ki nā-shukroñ ne
ik adhūrī sī mulāqāt ko kaafī likkhā
aap duniyā ko samajhte raheñ sāmān-e-tarab
maiñ ne sāñsoñ ko gunāhoñ kī talāfī likkhā
vo hī kartā rahā andar se malāmat mujh ko
maiñ ne jo lafz usūloñ ke munāfī likkhā
bevaqūfoñ ne mirī ābla-pā.ī kā ilaaj
hañsī aatī hai ki hamdard kī saafī likkhā
Top Urdushayar.com