Shakeel Jamali

wafadaron pe aafat aa rahi hai

Shakeel Jamali

Chandpur, Uttar pradesh, India

1958
vafādāroñ pe aafat aa rahī hai
miyāñ le lo jo qīmat aa rahī hai
maiñ us se itne va.ade kar chukā huuñ
mujhe is baar ġhairat aa rahī hai
na jaane mujh meñ kyā dekhā hai us ne
mujhe us par mohabbat aa rahī hai
badaltā jā rahā hai jhuuT sach meñ
kahānī meñ sadāqat aa rahī hai
mirā jhagḌā zamāne se nahīñ hai
mire aaḌe mohabbat aa rahī hai
abhī raushan huā jaatā hai rasta
vo dekho ek aurat aa rahī hai
mujhe us kī udāsī ne batāyā
bichhaḌ jaane kī saa.at aa rahī hai
baḌoñ ke darmiyāñ baiThā huā huuñ
nasīhat par nasīhat aa rahī hai
Top Urdushayar.com