thoḌā sā māhaul banānā hotā hai
varna kisī ke saath zamāna hotā hai
sachchā sher sunāne vaale ḳhatm hue
ab to ḳhālī khel dikhānā hotā hai
aañsū pahlī shart hai is samjhaute kī
ġham to sāñsoñ kā jurmāna hotā hai
lāl-qile kī dīvāroñ par likhvā do
dil sab se mahfūz Thikānā hotā hai
duniyā meñ bhar-mār hai naqlī logoñ kī
sau meñ koī ek divāna hotā hai
raat hamāre ghar jaldī aa jaayā kar
hameñ savere kaam pe jaanā hotā hai
aisī koī baat nahīñ māyūsī kī
sach meñ thoḌā sā afsāna hotā hai
sab kī apnī ek ikaa.ī hotī hai
sab kā apnā ek zamāna hotā hai
ham ne to un ko bhī luTte dekhā hai
jin ke chār-qadam par thāna hotā hai
aaj bichhaḌte vaqt mujhe ma.alūm huā
logoñ meñ ehsās kā ḳhāna hotā hai