Shakeel Jamali

sare bhule bisron ki yaad aati hai

Shakeel Jamali

Chandpur, Uttar pradesh, India

1958
saare bhūle bisroñ kī yaad aatī hai
ek ġhazal sab zaḳhm hare kar jaatī hai
pā lene kī ḳhvāhish se mohtāt raho
mahrūmī kī bīmārī lag jaatī hai
ġham ke pīchhe maare maare phirnā kyā
ye daulat to ghar baiThe aa jaatī hai
din ke sab hañgāme rakhnā zehnoñ meñ
raat bahut sannāTe le kar aatī hai
dāman to bhar jaate haiñ ayyārī se
dastar-ḳhvānoñ se barkat uTh jaatī hai
raat ga.e tak chaltī hai Tv par film
roz namāz-e-fazr qazā ho jaatī hai
Top Urdushayar.com