peT kī aag bujhāne kā sabab kar rahe haiñ
is zamāne ke ka.ī miir matab kar rahe haiñ
koī hamdard bhare shahr meñ baaqī ho to ho
is kaḌe vaqt meñ gumrāh to sab kar rahe haiñ
kahīñ ḳhatre meñ na paḌ jaa.e buzurgī apnī
log is ḳhauf se chhoToñ kā adab kar rahe haiñ
sab lifāfe kī husūlī ke liye ho rahā hai
ham jo ye shaġhl jo ye kār-e-adab kar rahe haiñ
har koī jaan hathelī pe liye phir rahā hai
in dinoñ vo lab-o-ruḳhsār ġhazab kar rahe haiñ