kisī kā saath miyāñ jī sadā nahīñ rahā hai
magar diloñ ko abhī sabr aa nahīñ rahā hai
yahī to hai jo ḳhayāloñ se jā nahīñ rahā hai
ye aadmī jo mirā phone uThā nahīñ rahā hai
hamāre biich koī bā-vafā nahīñ rahā hai
ye baat koī kisī ko batā nahīñ rahā hai
mire aziiz mirī ġhībatoñ meñ lag ga.e haiñ
ki ab kisī ko koī mashġhala nahīñ rahā hai
kahīñ use mirā nemul-badal na mil gayā ho
ka.ī dinoñ se mirī samt aa nahīñ rahā hai
ye chand faisla-kun sā.ateñ haiñ sab ke liye
isī liye to koī muskurā nahīñ rahā hai
sab apne apne kaTore liye khaḌe hue haiñ
kisī ke haath abhī kuchh bhī aa nahīñ rahā hai
tire gunāh se parda zarūr uTThegā
abhī to ḳhair koī bhī uThā nahīñ rahā hai
jo rañg mujh se mire nāqidīn chāhte haiñ
vo rañg merī kahānī meñ aa nahīñ rahā hai