ye tirī ḳhalq-navāzī kā taqāza bhī nahīñ
kahīñ dariyā hai ravāñ aur kahīñ qatra bhī nahīñ
apne āqāoñ ke aiboñ ko mahāsin samjhe
itnī pāband-e-aqīdat to re.āyā bhī nahīñ
iḳhtiyārāt se haq tak haiñ zabānī bāteñ
dastaḳhat kyā kisī kāġhaz pe añgūThā bhī nahīñ
koī imkān nahīñ hai kisī ḳhush-fahmī kā
chāra-gar tum ho to phir zaḳhm ko bharnā bhī nahīñ
ishtihārāt lage haiñ mirī ḳhush-hālī ke
aur thālī meñ mirī ḳhushk nivāla bhī nahīñ
ye ujālā koī sāzish hai ye jugnū hai fareb
sub.h se pahle charāġhoñ ko bujhānā bhī nahīñ