isī duniyā ke isī daur ke haiñ
ham to dillī meñ bhī bijnor ke haiñ
aap in.aam kisī aur ko deñ
ham namak-ḳhvār kisī aur ke haiñ
sarsarī taur se mat lo ham ko
ham zarā fikr zarā ġhaur ke haiñ
kuchh tarīqe bhī purāne haiñ mire
kuchh masā.il bhī na.e daur ke haiñ
koī ummīd na rakhnā ham se
ab to ham yuuñ bhī kisī aur ke haiñ