Shakeel Jamali

koi bhi dar se zinda nahin utarta hai

Shakeel Jamali

Chandpur, Uttar pradesh, India

1958
koī bhī daar se zinda nahīñ utartā hai
magar junūn hamārā nahīñ utartā hai
tabāh kar diyā ahbāb ko siyāsat ne
magar makān se jhanDā nahīñ utartā hai
maiñ apne dil ke ujaḌne kī baat kis se kahūñ
koī mizāj pe puurā nahīñ utartā hai
kabhī qamīz ke aadhe button lagāte the
aur ab badan se labāda nahīñ utartā hai
musālahat ke bahut rāste haiñ duniyā meñ
magar salīb se iisā nahīñ utartā hai
juāriyoñ kā muqaddar ḳharāb hai shāyad
jo chāhiye vahī pattā nahīñ utartā hai
Top Urdushayar.com