khāne ko to zahr bhī khāyā jā saktā hai
lekin us ko phir samjhāyā jā saktā hai
is duniyā meñ ham jaise bhī rah sakte haiñ
is daldal par paañv jamāyā jā saktā hai
sab se pahle dil ke ḳhālī-pan ko bharnā
paisa saarī umr kamāyā jā saktā hai
maiñ ne kaise kaise sadme jhel liye haiñ
is kā matlab zahr pachāyā jā saktā hai
itnā itminān hai ab bhī un āñkhoñ meñ
ek bahāna aur banāyā jā saktā hai
jhuuT meñ shak kī kam gunjā.ish ho saktī hai
sach ko jab chāho jhuThlāyā jā saktā hai