diloñ ke mābain shak kī dīvār ho rahī hai
to kyā judā.ī kī raah hamvār ho rahī hai
zarā sā mujh ko bhī tajraba kam hai rāste kā
zarā sī terī bhī tez raftār ho rahī hai
udhar se bhī jo chāhiye thā nahīñ milā hai
idhar hamārī bhī umr be-kār ho rahī hai
shadīd garmī meñ kaise nikle vo phūl-chehra
so apne raste meñ dhuup dīvār ho rahī hai
bas ik ta.alluq ne merī nīndeñ uḌā rakhī haiñ
bas ik shanāsā.ī jaañ kā āzār ho rahī hai
yahāñ se qissa shurūa hotā hai qatl-o-ḳhūñ kā
yahāñ se ye dāstāñ mazedār ho rahī hai
ye log duniyā ko kis taraf le ke jā rahe haiñ
ye log jin kī zabān talvār ho rahī hai