Shakeel Jamali

na koi KHwab kamaya na aankh Khaali hui

Shakeel Jamali

Chandpur, Uttar pradesh, India

1958
na koī ḳhvāb kamāyā na aañkh ḳhālī huī
tumhāre saath hamārī bhī raat kaalī huī
ḳhudā kā shukr adā kar vo bevafā niklā
ḳhushī manā ki tirī jaan kī bahālī huī
zarā se ḳhvāb bune the ki saañs phuul ga.ī
qadam dukāñ pe rakhā thā ki jeb ḳhālī huī
vafā ke baare meñ logoñ kī raa.e Thiik nahīñ
briādrī se ye ḳhātūn hai nikālī huī
tumhī to sar pe biThā.e hue the duniyā ko
tumhī pe bhauñk rahī hai tumhārī paalī huī
maiñ kaise dekhūñ ravā-dāriyoñ ko miTte hue
ye dāġh-bel hai mere baḌoñ kī Daalī huī
jo ahl-e-naqd-o-nazar haiñ idhar bhī ġhaur kareñ
ki ye ġhazal bhī hai tarkīb se nikālī huī
ye qāfiya baḌī diqqat ke saath nazm huā
baḌe hunar se ye aurat mrs 'jamālī' huī
Top Urdushayar.com