ek aalam pe baar haiñ ham log
ādatan sogvār haiñ ham log
gardish-e-pā junūñ baḌhātī hai
sañg-e-rah kī pukār haiñ ham log
pichhlī sab ranjishoñ ko bhuul bhī jā
ab tire ġham-gusār haiñ ham log
jānte haiñ hunar mohabbat kā
ahl-e-dil meñ shumār haiñ ham log
ab hameñ log hañs ke milte haiñ
ab bahut sāzgār haiñ ham log
ham ne mafhūm ko zabāñ dī hai
harf kā e'tibār haiñ ham log
koī chehra to raushnī laa.e
vāhimoñ kā shikār haiñ ham log
ab tirī dostī ke qābil haiñ
dil-girafta-o-dil-figār haiñ ham log
dil churāne kā kaam karte haiñ
bar-sar-e-rozgār haiñ ham log
ek pal bhī sukūñ nahīñ miltā
kis qadar be-qarār haiñ ham log
shahryārī bhī ik nasha hai 'amīr'
tere hisse kā pyaar haiñ ham log