Shakeel Jamali

sab ke hote hue lagta hai ki ghar Khaali hai

Shakeel Jamali

Chandpur, Uttar pradesh, India

1958
sab ke hote hue lagtā hai ki ghar ḳhālī hai
ye takalluf hai ki jazbāt kī pāmālī hai
āsmānoñ se utarne kā irādā ho to sun
shāḳh par ek parinde kī jagah ḳhālī hai
jis kī āñkhoñ meñ sharārat thī vo mahbūba thī
ye jo majbūr sī aurat hai ye ghar vaalī hai
raat be-lutf hai parhez ke sālan kī tarah
din bhikārī ke kaTore kī tarah ḳhālī hai
muddatoñ ḳhud ko bharose meñ liyā hai maiñ ne
tab kahīñ terī mohabbat ne sipar Daalī hai
Top Urdushayar.com