ashk piine ke liye ḳhaak uḌāne ke liye
ab mire paas ḳhazāna hai luTāne ke liye
aisī daf.a na lagā jis meñ zamānat mil jaa.e
mere kirdār ko chun apne nishāne ke liye
kin zamīnoñ pe utāroge ab imdād kā qahr
kaun sā shahr ujāḌoge basāne ke liye
maiñ ne hāthoñ se bujhā.ī hai dahaktī huī aag
apne bachche ke khilaune ko bachāne ke liye
ho ga.ī hai mirī ujḌī huī duniyā ābād
maiñ use DhūñDh rahā huuñ ye batāne ke liye
nafrateñ bechne vāloñ kī bhī majbūrī hai
maal to chāhiye dūkān chalāne ke liye
jī to kahtā hai ki bistar se na utrūñ ka.ī roz
ghar meñ sāmān to ho baiTh ke khāne ke liye