alfāz narm ho ga.e lahje badal ga.e
lagtā hai zālimoñ ke irāde badal ga.e
ye fā.eda zarūr huā ehtijāj se
jo Dho rahe the ham ko vo kāñdhe badal ga.e
ab ḳhushbuoñ ke naam pate DhūñDte phiro
mahfil meñ laḌkiyoñ ke dupaTTe badal ga.e
ye sarkashī kahāñ hai hamāre ḳhamīr meñ
lagtā hai aspatāl meñ bachche badal ga.e
kuchh log haiñ jo jhel rahe haiñ musībateñ
kuchh log haiñ jo vaqt se pahle badal ga.e
mujh ko mirī pasand kā saame to mil gayā
lekin ġhazal ke saare havāle badal ga.e