Ahmad Ameer Pasha

tumhaari tishna-nigahi ka ehtiram karen

Ahmad Ameer Pasha

Khanewal, Punjab, Pakistan

1964
tumhārī tishna-nigāhī kā ehtirām kareñ
furāt-e-dasht-e-tamannā tumhāre naam kareñ
ye hijr un ko milā hai unhī kī ḳhvāhish par
ab ahl-e-dard ye jiine kā ehtimām kareñ
tumhārī bazm meñ kuchh bhī samajh nahīñ aatā
kise ishāra kareñ aur kise salām kareñ
bahut zarūrī hai ye dhuup Tālne ke liye
shajar lagā ke tire falsafe ko aam kareñ
muḳhālifat bhī maza detī hai agar ham log
muḳhālifat ke usūloñ kā ehtirām kareñ
tumhāre vasl kī ḳhushiyoñ meñ dil ye kartā hai
tumhāre naam par āzād ik ġhulām kareñ
yahī to pahlā sabaq hai zamāna-gardī kā
baġhal meñ le ke chhurī muñh meñ raam raam kareñ
hisār-e-jāñ se bahut ūñchī ho ga.ī hai 'amīr'
fasīl-e-jabr girāne kā intizām kareñ
Top Urdushayar.com