nahīñ kuchh mas.ala ham ko gharoñ kā
bahut dushvār hai basnā diloñ kā
use kahnā mujhe ījād kar le
mudāvā huuñ maiñ us ke sab dukhoñ kā
tumhāre jaal le kar uḌ rahā huuñ
karishma hai mire TuuTe paroñ kā
tumhāre ba.ad bhī tanhā nahīñ huuñ
lagā hai ek mela ratjagoñ kā
tumhārī aañkh kā motī hai nādir
hamārā dil bhī tājir hai nagoñ kā
ka.ī nasleñ apāhij kar gayā hai
ye jhagḌā thā koī ghar ke baḌoñ kā
barāh-e-rāst haiñ sūraj kī zad meñ
ḳhudā-hāfiz ho in ūñche gharoñ kā
baḌā shātir siyāsat-dān hai vo
use ma.alūm hai bhaav saroñ kā