Ayaz Mahmood Ayaz

KHushbu ki tarah dil ke gulabon mein rahega

Ayaz Mahmood Ayaz

Mandi Bahauddin, Punjab, Pakistan

1984
ḳhushbū kī tarah dil ke gulāboñ meñ rahegā
vo chāñd hamesha mire ḳhvāboñ meñ rahegā
bhīgī huī āñkhoñ se gale mil ke bichhaḌnā
vo shaḳhs sadā dil ke nisāboñ meñ rahegā
shāyad maiñ abhī us ke jigar tak nahīñ utrā
shāyad vo abhī aur naqāboñ meñ rahegā
sāñsoñ kī tarah maiñ terī nas nas meñ rahūñgā
kho kar tū mujhe ḳhud bhī azāboñ meñ rahegā
nashsha to tere qurb kā hai jān-e-tamannā
kyā lutf tire ba.ad sharāboñ meñ rahegā
haañ pyaar hai haañ pyaar hai suulī pe chaḌhā do
iqrār hai iqrār javāboñ meñ rahegā
phir zard ruteñ dil pe utarne lagīñ 'ayyāz'
dil tab hī bachegā jo ḳharāboñ meñ rahegā
Top Urdushayar.com