ḳhāmushī meñ hī lā-javāb na thā
muskurāhaT kā bhī hisāb na thā
maiñ use harf harf paḌhtā gayā
vo agarche khulī kitāb na thā
ek muddat se so rahe haiñ log
phir bhī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb na thā
jhiil meñ raat bhar thā kyā raqsāñ
terā paikar to zer-e-āb na thā
marne vāloñ kī thī jazā kī va.ii.d
jiine vāloñ kā ehtisāb na thā
zarf ke imtihāñ meñ ab kī baar
ek bhī shaḳhs kāmyāb na thā
yuuñ to behad saḳhī thā dil kā 'amīr'
vo magar sāhab-e-nisāb na thā