chhup-chhup ke tire hijr meñ ronā thā hamārā
ye haal kisī roz to honā thā hamārā
kar baiThe haiñ chuur us ko ye bahte hue lamhe
dil vaqt ke hāthoñ meñ khilaunā thā hamārā
mallāh banā thā to adā farz bhī kartā
kyā tū ne safīna hī Dubonā thā hamārā
phir ye ki har ik samt hī ugne lage ḳhanjar
ik qatra-e-ḳhūñ dostoñ baunā thā hamārā
us ne bhī uThānā thā alam zulm-o-sitam kā
neze meñ jigar us ne pironā thā hamārā
majbūri-e-hālāt kī sab baat hai varna
pītal ke jo bhaav bikā sonā thā hamārā
mīnār se kartā thā vo paimā.isheñ 'ayyāz'
qad itnā to lā-raib na baunā thā hamārā