kyā lutf ki vo zulm bhī jaarī nahīñ rakhte
kyā dost haiñ kuchh laaj hamārī nahīñ rakhte
ham lipTe hue ghar se bhī rahte nahīñ lekin
hijrat kā koī ḳhauf bhī taarī nahīñ rakhte
e.ajāz-e-taḳhayyul se pahuñchte haiñ sar-e-arsh
ham ahl-e-hunar koī savārī nahīñ rakhte
rahne pe nahīñ tum hī jo tayyār to jaao
ham koī nishānī bhī tumhārī nahīñ rakhte
ye yaad rahe aan pe mar miTte haiñ ham log
mat bhūlnā ham jaan bhī pyārī nahīñ rakhte
kyuuñ bojh paroñ kā liye phirte haiñ na jaane
'ayyāz' parinde jo aTārī nahīñ rakhte