Harbans Lal Aneja 'jamaal'

wo pech-o-KHam jahan ki har ek rahguzar mein hai

Harbans Lal Aneja 'jamaal'

Jhang, Punjab, Pakistan

1940
vo pech-o-ḳham jahāñ kī har ik rahguzar meñ hai
ḳhud kārvān-e-vaqt bhī ab tak safar meñ hai
yaaro kahāñ vo jalva-e-shams-o-qamar meñ hai
jo nuur jo ziyā mire dāġh-e-jigar meñ hai
hai vāda-e-visāl-e-sanam kī vo sarḳhushī
har shai hasīn ab mirī fikr-o-nazar meñ hai
manzil baġhair tai kiye letā nahīñ huuñ chain
ye dam ye hausla hī kahāñ rāhbar meñ hai
kuchh ġham nahīñ ki ho mirī hadd-e-nazar se duur
lekin tumhārī yaad to qalb-o-jigar meñ hai
har bahr har zamīn meñ kahtā huuñ ḳhuub sher
kab ye kamāl ab kisī ahl-e-hunar meñ hai
jis se ayaañ ho dahr kā ehsās-e-be-ruḳhī
ā.īna vo 'jamāl' hamārī nazar meñ hai
Top Urdushayar.com