phir un kī yaad ke dīpak jalā.e haiñ maiñ ne
ki ḳhufta hasrat-o-armāñ jagā.e haiñ maiñ ne
zamāna jin ke tasavvur se hī laraz uTThe
qalīl umr meñ vo ġham uThā.e haiñ maiñ ne
ġham-o-alam ke samundar meñ Duub kar aksar
nashāt-o-aish ke naġhmāt gaa.e haiñ maiñ ne
nahīñ nahīñ hai nahīñ qābil-e-yaqīñ koī
ḳhudā ke bande bahut āzmā.e haiñ maiñ ne
huā hai aaj ye ik lamha-e-tarab hāsil
vagarna aañsū hī aañsū bahā.e haiñ maiñ ne
'jamāl' talḳh tajrabāt buġhz-o-nafrat se
tarāne mehr-o-vafā ke sunā.e haiñ maiñ ne