ashkoñ kā mirī aañkh se paiġhām na aa.e
ilzām ye ai dost tere naam na aa.e
kyā kījiye darmān-e-marīz-e-ġham-e-ulfat
jab koī davā aur duā kaam na aa.e
phir majma-e-aġhyār tah-e-bām khaḌā hai
us shoḳh se kah do ki lab-e-bām na aa.e
afsāna mirā zeb-e-lab-e-bulbul-o-gul hai
Dartā huuñ kahīñ aap pe ilzām na aa.e
kyā dard ke māroñ pe vo karte haiñ ināyat
aisā hai to ai dil mujhe ārām na aa.e
ai sāqi-e-mai-ḳhāna tire daur meñ ye kyā
tarsā kareñ ham aur koī jaam na aa.e
ik baar utar jaa.e jo saaqī kī nazar se
tā-umr 'jamāl' us kī taraf jaam na aa.e