kaun hai jo na huā bandish-e-ġham se āzād
juz mire kaun rahā dahr meñ nākām-e-murād
sauñp duuñ kyuuñ na ba-dāmān-e-talātum kashtī
kis kī kab sunte haiñ be-rahm kināre fariyād
mujh se mat chhīn ye jāgīr-e-ġham-o-ranj nadīm
hai faqat is se hī kaunain-e-dil-o-jān ābād
dil ke gulzār meñ khil uThtī hai dāġhoñ kī kalī
jab bhī aatī hai kisī gul-ruḳh-o-gul-fām kī yaad
ab na maazī hī kā ġham hai na to fardā kī ḳhushī
ḳhāna-e-dil ko kiyā tum ne kuchh aisā barbād
ek lamha bhī masarrat kā mayassar na huā
jaane kis vaqt mohabbat kī rakhī thī buniyād
ġham ġhalat karne ko aayā thā tire dar pe 'jamāl'
kyā ḳhabar thī ki nahīñ tū bhī ġhamoñ se āzād