tum aa.e jab nahīñ nākām lauT jaane ko
to aao ḳhaak karo dil ke āshiyāne ko
bujhā bujhā sā hai kyuuñ aaj udaas udaas hai dil
hai koī koh-e-alam aur TuuT jaane ko
hai ārzū-e-dil-e-sogvār likhtā rahūñ
tamām umr tire ishq ke fasāne ko
bashar kī tañg-dilī is se baḌh ke kyā hogī
qafas samajhtā rahe apne āshiyāne ko
ye sher-o-fan ye mai-o-naġhma ye shabāb-o-rabāb
ye baḳhshisheñ haiñ ġham-e-zindagī bhulāne ko
dahan dahan ye udāsī nazar nazar ye malāl
ilāhī kaun sā ġham Das gayā zamāne ko
'jamāl' aur bhī sulgā gayā ye ātish-e-ġham
uThāyā jaam jo dil kī lagī bujhāne ko