Harbans Lal Aneja 'jamaal'

jitne qarin tum aae

Harbans Lal Aneja 'jamaal'

Jhang, Punjab, Pakistan

1940
jitne qarīñ tum aa.e
bante ga.e parā.e
paas aa.e tum mire yuuñ
jaise ki ḳhvāb aa.e
kyā ḳhizr kā bharosa
aa.e ki vo na aa.e
vaa.iz banā hai mai-kash
kyā kyā taġhayyur aa.e
shāyad qarīñ hai manzil
phir paañv Dagmagā.e
yaad aa.iiñ chaTkī kaliyāñ
tum jab bhī muskurā.e
kah do 'jamāl' dil se
ham se na dil lagā.e
Top Urdushayar.com