faiz-e-dil se mutrib-e-kāmil huā jaatā huuñ maiñ
bā.is-e-rañgīnī-e-mahfil huā jaatā huuñ maiñ
kis liye ye shikva-e-mahrūmī-e-kaif-o-nishāt
ḳhūgar-e-ālām ḳhud ai dil huā jaatā huuñ maiñ
is qadar maḳhmūr huuñ terī nigāh-e-mast se
chaah meñ manzil kī ḳhud manzil huā jaatā huuñ maiñ
bahr-e-hastī meñ mazā dene lage tūfāñ bhī ab
ai nadīm āsūda-e-sāhil huā jaatā huuñ maiñ
be-sadā se ho ga.e ham-sāz sab tār-e-nafas
uf shikasta sā rabāb-e-dil huā jaatā huuñ maiñ
ahl-e-fan ahl-e-hunar dil khol kar dete haiñ daad
māhir-e-fan shā.ir-e-kāmil huā jaatā huuñ maiñ
ai 'jamāl' aapas meñ kyā aql-o-junūñ kā rabt hai
jām-e-vahshat pī ke bhī aaqil huā jaatā huuñ maiñ