Harbans Lal Aneja 'jamaal'

ye kya KHabar thi ki jab tum se dosti hogi

Harbans Lal Aneja 'jamaal'

Jhang, Punjab, Pakistan

1940
ye kyā ḳhabar thī ki jab tum se dostī hogī
qadam qadam pe qayāmat sī ik khaḌī hogī
vahāñ pe gūñjtī hogī ḳhushī kī shahnā.ī
yahāñ to mayyat-e-armān uTh rahī hogī
jo be-ḳhabar hai abhī tak ḳhud apnī manzil se
to aise ḳhizr se kis tarah rahbarī hogī
banā ke ḳhaak se ḳhud ḳhaak meñ milā denā
ilāhī terī sharī.at meñ kuchh kamī hogī
shab-e-firāq raqīb aa ke de mujhe taskīñ
qasam ḳhudā kī ye sāzish bhī aap kī hogī
jigar ke ḳhuun se tar ho na jis kā sher koī
phir us ġhazal meñ bhalā ḳhaak dilkashī hogī
'jamāl' chhūT hī jā.egā zabt kā dāman
kamāl-e-jaur meñ un ke agar kamī hogī
Top Urdushayar.com