Ghubaar Bhatti

jalwa-e-husn agar zinat-e-kashana bane

Ghubaar Bhatti

Barabanki, Uttar pradesh, India

1920

jalva-e-husn agar zīnat-e-kāshāna bane

dastaras sham.a ko hāsil ho to parvāna bane

dil na hoshiyār rahe aur na dīvāna bane

ye tamannā hai ki ḳhaak dar-e-jānāna bane

husn ai husn ye hai terī karishma-sāzī

ka.aba ban jaa.e kahīñ aur kahīñ but-ḳhāna bane

hosh aur kashmakash-e-hosh ilāhī tauba

vahī hoshiyār hai ulfat meñ jo dīvāna bane

is tamannā se maiñ ai ishq ḳhajil hotā huuñ

dil taqdīr ki vo husn nazrāna bane

husn mahsūs se hai jalva-e-mutlaq matlūb

na sahī ka.aba to dil-e-mā.il but-ḳhāna bane

mai-parastī muayyan koī me.aar nahīñ

jis jo zarf ho saaqī vahī paimāna bane

un sarshār nigāhoñ ke tasadduq kahiye

hāsil-e-kaif jo paimāna-ba-paimāna bane

soz ulfat ke ḳhudā sham.a nahīñ hai na sahī

phūñk itnā mirī hastī ko ki parvāna bane

sāġhar-e-dil meñ hai kaifiyyat-e-sahbā-e-alast

buuñd buuñd us na kyuuñ hāsil-e-mai-ḳhāna bane

aap ik roz tavajjoh se jo sun leñ sar-e-bazm

dil rūdād har lafz ik afsāna bane

aaj mujh ko vo mai-e-hosh-rubā de saaqī

aur to aur dil apne se bhī begāna bane

kaash miT miT ke mirī hastī-e-nāchīz 'ġhubār'

ḳhaak ho jaa.e to ḳhāk-e-dar-e-jānāna bane

Top Urdushayar.com