tasallī ko hamārī bāġhbāñ kuchh aur kahtā hai
gulistāñ se magar uḌtā dhuāñ kuchh aur kahtā hai
baham kuchh sāzisheñ phir ho rahī haiñ barq-o-bārāñ meñ
har ik taa.ir se lekin āshiyāñ kuchh aur kahtā hai
samajhte haiñ ḳhudā-ma.alūm kyā kuchh kārvāñ vaale
zabāñ meñ apnī mīr-e-kārvāñ kuchh aur kahtā hai
na phūlo is tarah se naġhma-e-murġh-e-ḳhush-ilhāñ par
tumheñ āvāza-e-bāñg-e-azāñ kuchh aur kahtā hai
magar mahrūm zāhid ho gayā hai gosh-e-shanvā se
use but-ḳhāne meñ husn-e-butāñ kuchh aur kahtā hai
ye ḳhush-fahmī ki kuchh samjhe hue haiñ anjuman vaale
magar har ik se rañg-e-dāstāñ kuchh aur kahtā hai
Thahar jā haañ Thahar jā jaane vaale is ko suntā jā
ba-hāl-e-naza.a terā nīm-jāñ kuchh aur kahtā hai
muḳhālif us ke kuchh kuchh aa rahī haiñ dil kī āvāzeñ
magar ham se hijāb-e-darmiyāñ kuchh aur kahtā hai
na rahnā chāhiye gulshan meñ mar.ūb-e-ḳhizāñ ho kar
ki ham se aaj rañg-e-gulistāñ kuchh aur kahtā hai