ajab inqalāb kā daur hai ki har ek samt fishār hai
na kahīñ ḳhirad ko sukūn hai na kahīñ junūñ ko qarār hai
kahīñ garm bazm-e-habīb hai kahīñ sard mahfil-e-yār hai
kahīñ ibtidā-e-surūr hai kahīñ intihā-e-ḳhumār hai
mirā dil hai siine meñ raushnī isī raushnī pe madār hai
maiñ musāfir-e-rah-e-ishq huuñ to ye sham.a rāh-guzār hai
jise kahte haiñ tirī anjuman ajab anjuman hai ye anjuman
koī is meñ soḳhta-hāl hai koī is meñ sīna-figār hai
ye asar hai ek nigāh kā ki mizāj-e-tab.a badal diyā
jo hamesha shikva-guzār thā vo tumhārā shukr-guzār hai
ye zarūrī kyā hai ki har bashar rahe nām-o-kām se bā-ḳhabar
magar itnā jaan chuke haiñ sab ki taḳhallus us kā 'ġhubār' hai