tirā mai-ḳhvār ḳhush-āġhāz-o-ḳhush-anjām hai saaqī
ki dil meñ yaad terī lab pe terā naam hai saaqī
muhīt daur-e-sāġhar charḳh-e-nīlī-fām hai saaqī
ġhulām-e-chashm-e-maigūñ gardish-e-ayyām hai saaqī
dil-e-nākām ko ulfat se terī kaam hai saaqī
mohabbat be-niyāz-e-ibrat-e-anjām hai saaqī
zamāne se alag ho kar mujhe duniyā-e-ulfat meñ
tirā ruḳh roz-e-raushan zulf terī shaam hai saaqī
isī meñ aa ga.ī hai khiñch ke saaqī ruuh taqvā kī
matā-e-dīn-o-īmāñ qīmat-e-ik-jām hai saaqī
ḳhudā rakkhe tirī zulf-e-mo.ambar ke tasavvur se
taḳhayyul merā ambar-bīz-o-ambar-fām hai saaqī
ḳhudārā is taraf bhī ik nigāh-e-lutf ho jaa.e
mirī hastī hama hasrat hama ālām hai saaqī
hue haiñ dil pe is se munkashif asrār hastī ke
navā-e-qulqul-e-mīnā mujhe ilhām hai saaqī
sharaf terī ġhulāmī kā baḌī mushkil se miltā hai
zahe-qismat jo terā banda-e-be-dām hai saaqī
azal se tā-abad yūñhī rahegā ḳhāk-e-mai-ḳhāna
'ġhubār'-e-ḳhasta-o-nākām jis kā naam hai saaqī