mujhe kis tarah se na ho yaqīñ ki use ḳhizāñ se gurez hai
jo nasīm-e-sub.h-e-bahār ko mire gulsitāñ se gurez hai
ye ubūdiyat kā hai iqtizā ki usī pe ḳham ho mirī jabīñ
ye ġhalat kisī ne hai kah diyā tire āstāñ se gurez hai
hai ajiib qism kī bad-zanī mujhe us kī koī ḳhabar nahīñ
gul-o-ḳhār ko bhī bahār meñ mire gulsitāñ se gurez hai
kuchh ajab nahīñ jo qadam qadam mire rāhbar hī hoñ rāhzan
nahīñ muttafiq koī fard jab mujhe kārvāñ se gurez hai
mire dāġh-e-dil kī hī tābisheñ haiñ jamāl-baḳhsh dil-o-nazar
yahī baat hai ki tamām shab mujhe kahkashāñ se gurez hai
ye shakeb se nahīñ āshnā ise kuchh vafā se ġharaz nahīñ
yahī raaz hai yahī vaj.h hai jo dil-e-tapāñ se gurez hai
hai talāsh-e-vus.at-e-lā-makāñ ki jahāñ pe kuchh ho sukūn-e-dil
ho jahāñ bhī bandish-e-āb-o-gul mujhe us makāñ se gurez hai
ye tazād-e-ishq 'ġhubār' hai koī kis tarah se samajh sake
kabhī pā-e-bāz pe sar hai ḳham kabhī āstāñ se gurez hai