Ghubaar Bhatti

mere muddaa-e-ulfat ka payam ban ke aai

Ghubaar Bhatti

Barabanki, Uttar pradesh, India

1920
mire mudda.ā-e-ulfat kā payām ban ke aa.ī
tirī zulf kī siyāhī mirī shaam ban ke aa.ī
huī kāshif-e-haqīqat ye zamīr-e-mai-kada kī
mirī be-ḳhudī jo durd-e-tah-e-jām ban ke aa.ī
tirī ik adā thī ye bhī gul-o-ḳhār ko jagāne
jo nasīm-e-sub.h-gāhī kā ḳhirām ban ke aa.ī
ye sabā kī be-ruḳhī thī sū-e-āshiyāñ jo guzrī
na salām le ke aa.ī na payām ban ke aa.ī
mire ġham-kade meñ phūTī jo shuā dāġh-e-dil se
vahī ik charāġh-e-tāq-e-sar-e-shām ban ke aa.ī
sar-e-tūr jis kī juuyā thī nigāh-e-chashm-e-mūsā
vahī ik jhalak faroġh-e-lab-e-bām ban ke aa.ī
ruḳh-o-zulf kī tamannā mire dil ko muzhda-bādā
mirī sub.h ban ke aa.ī mirī shaam ban ke aa.ī
hai bahut muhāl is kā jo 'ġhubār' mā-badal ho
mirī tīrgī-e-qismat mirī shaam ban ke aa.ī
Top Urdushayar.com