Ghubaar Bhatti

zaban sakit ho qat-e-guftugu ho

Ghubaar Bhatti

Barabanki, Uttar pradesh, India

1920
zabāñ sākit ho qat-e-guftugū ho
nazar hī se bayān-e-ārzū ho
jahāñ maiñ huuñ vahāñ par tū hī tū ho
jahāñ tū ho jahān-e-rañg-o-bū ho
shahīd-e-nāz yuuñ hī surḳh-rū ho
shafaq muñh par ho dāman par lahū ho
vafūr-e-yās o josh-e-ibtilā meñ
zabāñ par āyat-e-lā-taqnatū ho
jo rañg-e-gul se Tapkā hai chaman meñ
na merī hī tamannā kā lahū ho
harīm-ka.aba se bhī mohtaram hai
vo dil jis meñ ki terī aarzū ho
ma.āz-allāh pas-manzar chaman kā
na ai dil yuuñ asīr-e-rañg-o-bū ho
namāz-e-ishq kuchh āsāñ nahīñ hai
jigar ke ḳhuuñ se pahle to vuzū ho
huuñ ḳhār-e-rāh tak gulshan-ba-dāmāñ
agar tū hī ma.āl-e-justujū ho
'ġhubār'-e-ḳhasta us kūche se uTh kar
na kyuuñ āvāra har sū kū-ba-kū ho
Top Urdushayar.com