Ghulam Bhik Nairang

phir wahi hum hain KHayal-e-ruKH-e-zeba hai wahi

Ghulam Bhik Nairang

Ambala, Haryana, India

1876-1952
phir vahī ham haiñ ḳhayāl-e-ruḳh-e-zebā hai vahī
sar-e-shorīda vahī ishq kā saudā hai vahī
dāna-o-dām sambhālā mire sayyād ne phir
apnī gardan hai vahī ishq kā phandā hai vahī
phir lagī rahne tasavvur meñ vo mizhgān-e-darāz
rag-e-jāñ meñ ḳhalish-e-ḳhār-e-tamannā hai vahī
phir lagā rahne vahī silsila-e-nāz-o-niyāz
jalva-e-husn vahī zauq-e-tamāshā hai vahī
phir huā ham ko dil-o-dīñ kā bachānā mushkil
nigah-e-nāz kā phir ham se taqāzā hai vahī
naaz ne phir kiyā āġhāz vo andāz-e-niyāz
husn-e-jāñ-soz ko phir soz kā da.avā hai vahī
mahv-e-dīd-e-chaman-e-shauq hai phir dīda-e-shauq
gul-e-shādāb vahī bulbul-e-shaidā hai vahī
phir chamak uTThī vo kajlā.ī huī chiñgārī
raḳht-e-hastī hai vahī ishq kā sho.ala hai vahī
aarzū jī uThī phir pyaar jo us but ne kiyā
phir lab-e-yār meñ ejāz-e-masīhā hai vahī
pās-e-nāmūs ne phir ruḳhsat-e-raftan chāhī
shohrat-e-husn vahī ulfat-e-rusvā hai vahī
phir huī lailā-o-majnūñ kī hikāyat taaza
un kā aalam vahī 'nairañg' kā naqsha hai vahī
Top Urdushayar.com