Ghulam Bhik Nairang

mere pahlu se jo nikle wo meri jaan ho kar

Ghulam Bhik Nairang

Ambala, Haryana, India

1876-1952
mire pahlū se jo nikle vo mirī jaañ ho kar
rah gayā shauq dil-e-zār meñ armāñ ho kar
ziist do roza hai hañs-khel ke kaaTo is ko
gul ne ye raaz batāyā mujhe ḳhandāñ ho kar
ashk-e-shādī hai ye kuchh muzhda sabā laa.ī hai
shabnam-ālūda huā phuul jo ḳhandāñ ho kar
zarra-e-vādi-e-ulfat pe munāsib hai nigāh
falak-e-husn pe ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ ho kar
shoḳhiyāñ us nigah-e-zer-e-mizha kī mat pūchh
dil-e-āshiq meñ khubī jaatī hai paikāñ ho kar
shiddat-e-shauq-e-shahādat kā kahūñ kyā aalam
teġh-e-qātil paḌī sar pe mire ehsāñ ho kar
ab to vo ḳhabt mire ishq ko kah kar dekheñ
ḳhud hī ā.īne ko takne lage hairāñ ho kar
Top Urdushayar.com