kahte haiñ iid hai aaj apnī bhī iid hotī
ham ko agar mayassar jānāñ kī diid hotī
qīmat meñ dīd-e-ruḳh kī ham naqd-e-jāñ lagāte
bāzār-e-nāz lagtā dil kī ḳharīd hotī
kuchh apnī baat kahte kuchh merā haal sunet
nāz-o-niyāz kī yuuñ guft-o-shunīd hotī
jalve dikhāte jaate vo tarz-e-dilbarī ke
aur dil meñ yaañ havā-e-nāz-e-mazīd hotī
teġh-e-nazar se dil par vo vaar karte jaate
aur lab pe yaañ sadā-e-hal-mim-mazīd hotī
abrū se un ke ġhamza tīr-e-adā lagātā
ye dil qatīl hotā ye jaañ shahīd hotī
kuchh hausla baḌhātā andāz-e-lutf-e-jānāñ
kuchh daġhdaġha sā hotā kuchh kuchh umiid hotī