kaT ga.ī be-mudda.ā saarī kī saarī zindagī
zindagī sī zindagī hai ye hamārī zindagī
kyā irādoñ se hai hāsil? tāqat-o-fursat kahāñ
haa.e kahlātī hai kyuuñ be-aḳhtyārī zindagī
ai sar-e-shorīda ab tere vo saudā kyā hue!
kyā sadā se thī yahī ġhaflat-shi.ārī zindagī
dard ulfat kā na ho to zindagī kā kyā mazā
āh-o-zārī zindagī hai be-qarārī zindagī
ārzū-e-zīst bhī yaañ yaañ ārzū-e-dīd hai
tū na pyārā ho to mujh ko ho na pyārī zindagī
aur murjhā.egī terī chheḌ se dil kī kalī
kar na dūbhar mujh pe ai bād-e-bahārī zindagī
yaañ to ai 'nairañg' donoñ ke liye sāmāñ nahīñ
maut bhī mujh par girāñ hai gar hai bhārī zindagī