kabhī sūrat jo mujhe aa ke dikhā jaate ho
din mirī ziist ke kuchh aur baḌhā jaate ho
ik jhalak tum jo lab-e-bām dikhā jaate ho
dil pe ik kauñdtī bijlī sī girā jaate ho
mere pahlū meñ tum aao ye kahāñ mere nasīb
ye bhī kyā kam hai tasavvur meñ to aa jaate ho
taaza kar jaate ho tum dil meñ purānī yādeñ
ḳhvāb-e-shīrīñ se tamannā ko jagā jaate ho
itnī ham ko bhī dikhāte ho masīhā-nafasī
hasrat-e-murda ko aa aa ke jilā jaate ho
nigah-e-lutf meñ jaadū hai tumhārī jānāñ
saare shikve-gile ik pal meñ bhulā jaate ho
shola-e-tūr se tū vādi-e-aiman hī jalā
tum jahāñ aate ho ik aag lagā jaate ho
hai to 'nairañg' vahī ishq kā ronā-dhonā
inhī bātoñ meñ nayā rañg dikhā jaate ho