jahāñ pe phuul the aur yaad bhī tumhārī thī
usī paḌāv pe ham ne thakan utārī thī
usī kā aks thā vo chāñd thā ki sūraj thā
magar vo dekhne vaalī nazar hamārī thī
subuk-ḳhirām chalā aur kabhī maiñ Thahrā rahā
ki merī apne hī saa.e se jañg jaarī thī
maiñ apne ḳhvāb ke andar bhī ḳhvāb dekhtā thā
khulī jab aañkh to ik kapkapī sī taarī thī
maiñ us ke dil se jab utrā to zaḳhm aa.e nazar
ki us ke mīThe se lahje meñ sañg-bārī thī
maiñ us ke hijr kī ātish meñ kuchh jalā aise
kaḌā thā din bhī bahut raat mujh pe bhārī thī
maiñ shāḳh-e-dil se uThātā thā phuul girye ke
adū kī aañkh meñ manzar vo tez aarī thī