Manzar Naqvi

sans chalti rahti hai zindagi nahin hoti

Manzar Naqvi

Islamabad, Pakistan

1955
saañs chaltī rahtī hai zindagī nahīñ hotī
bebasī ke lamhoñ meñ shā.irī nahīñ hotī
ishq baat kartā hai dil tavāf kartā hai
ird-gard phirne se āshiqī nahīñ hotī
zindagī ke sahrā meñ ek chāñd kaafī hai
qumqumoñ kī kasrat se raushnī nahīñ hotī
ḳhuun kī ravānī meñ is qadar mohabbat hai
nafratoñ ke halqoñ se dostī nahīñ hotī
ḳhvāhishoñ ke lashkar se roz laḌtā rahtā huuñ
ye bhī ik muamma hai dushmanī nahīñ hotī
tum ne but banā.e haiñ tum ko hī mubārak hoñ
but-shikan qabīle se āzarī nahīñ hotī
sab ḳhizāñ ke pattoñ meñ gul-bahār manzar hai
ḳhushbuoñ ke aane kī muḳhbirī nahīñ hotī
Top Urdushayar.com