Manzar Naqvi

hijr ke din ki raat hui barsat hui

Manzar Naqvi

Islamabad, Pakistan

1955
hijr ke din kī raat huī barsāt huī
aañkh se dil kī baat huī barsāt huī
tanhā thā to saaf rahā ye matl.a-e-dil
yaad tumhārī saat huī barsāt huī
dil kā album khol ke gum-sum baiThā thā
tasvīroñ se baat huī barsāt huī
dhuup masāfat kaaTī ham ne hañs hañs kar
manzil par jab raat huī barsāt huī
pyaar ke khel meñ manzar ye bhī dekhā hai
jiit huī yā maat huī barsāt huī
Top Urdushayar.com