Manzar Naqvi

sach ko jhuT bana jata hai baz auqat

Manzar Naqvi

Islamabad, Pakistan

1955
sach ko jhuuT banā jaatā hai ba.az auqāt
banda Thokar khā jaatā hai ba.az auqāt
ghar kī chhat par rim-jhim bārish jaltī dhuup
ye mausam bhī aa jaatā hai ba.az auqāt
achchhī qismat achchhā mausam achchhe log
phir bhī dil ghabrā jaatā hai ba.az auqāt
rozāna tū raat ga.e ghar aatā hai
shaam se pahle aa jaatā hai ba.az auqāt
jiit ke mujh se itnā kyuuñ itrāte ho
haar ke bhī jiitā jaatā hai ba.az auqāt
tum ne nāhaq rone kā ilzām diyā
aañkh meñ paanī aa jaatā hai ba.az auqāt
'manzar' mīThī bāteñ bhī to kartā hai
kaḌve bol sunā jaatā hai ba.az auqāt
Top Urdushayar.com